Manushya jivan mai kabhi-kabhi aisi ghatnaye ghat jati hai, jinse vah apne aap ko akela, preshan aur tanav grast mahsus karta hai. Aise samay mai agar pareshan vyakti ko uska koi mitra ya parichit hume gale lagakar santwana deta hai, to mann halka ho jata hai. Mano jaise kisi ne humari sari pareshani aur tanav ko humse dur kar diya ho.
Koi kitna hi pareshan ho, chahe aap ya apka koi mitra, aisi sthiti mai agar hum kisi se gale mil lete hai, to aisa anubhav hota hai ki pareshani samapt ho gayi hai. Yeh ek tarah ki hug therapy hai. Aisa karne se ek vyakti ki atmiya urja dusre vyakti ke mann aur chitt mai pravesh karne lagti hai. Jisse pareshan vyakti ko rahat milti hai. Sath hi gale lagne wale vyakti ki urja mai bhi vradhi hoti hai.
Chikitsa vigyani bhi ab iss baat ko ki pushti karne lage hai, unke anusar, agar din mai 4 baar kisi vyakti ko gale lagate hai to usme rogo se ladne ki shakti badti hai. Aisa karne se smaran shakti badti hai aur tanav bhi kam hota hai. Agar din mai 8 baar kisi se prem purvak mila jaye to rogo ki upchar shakti viksit hoti hai.
Aur bhi kai Health Benefits of Hugging in Hindi hai, jinke jariye hum apne sharir ko swastha rakh sakte hai.
Pyar karna, Chumban lena ya aalingan karna. Yeh tino hi manushya jivan ko bahut khubsurat banati hai aur hume swasth tatha tandrust rakhti hai. Kaamkrida se kai labh hote hai yeh to aap jante hi honge, janha yeh hriday gati ko niyantrit karta hai. Metabolism ka nirman karta hai, acchi nind deta hai sath hi aapki aayu badane mai bhi sahayak hota hai. Aaiye jante hai Health Benefits of Hugging-
- Apne jivan sathi se niyamit roop se aalingan karne se oxytocin aur cortisol namak hormones ka strav hota hai. Yeh dono tanav aur avsaad se ladne aur jode ko ek dusre ko samjhne mai sahayta karta hai. Agar aap bhi adhik samay tak swasth aur apne sathi ke sath rahna chate hai to niymit apne partner ko gale avshya lagaye.
- Aalingal mansik swastha ke liye bhi bahut hi labhprad hai. Agar aap udas hai aur koi vyakti aapko gale laga leta hai to aap accha mehsus karta hai. Sath hi yeh sharir ke raktchap aur humare dard kam karne mai bhi madad karta hai.
- Addhyano ke anusar yeh sabit hua hai ki, agar aap apne sathi se gale lagkar sote hai to, yeh unki buri aadato ko chudane mai bhi madadgar ho sakta hai. Agar aapka sahi dhumrapan ya sharab jaisi buri aadto mai lipt hai, to raat mai usse gale lagakar sona unhe surakshit mehsus karata hai. Jisse ghar aane ke baad wah buri aadto ko chod aapko gale lagana chahega.
- Aalingan mai itni shakti hai ki yeh aapki thakan ko chutki mai dur kar sakta hai. Aisa karne se aapka dimag shant hota hai aur apka dhyaan uss jagah se hat jata hai, jis wajah se aap pareshan the. Sath hi aapki soch bhi sakaratmak banti hai.
- Aalingan ka ek labh yeh bhi hai ki yeh cerotonin ki matra ko badane mai madadgar hota hai, jo aapke mood ko thik karta hai aur khushiya lata hai. Sath hi yeh sharir ki manspeshiyo ko majboot bhi karta hai.
Thiruvananthapuram main para manovigyaan ke shetra main anusandhan kar rahi sanstha research for spiritual neuration and development ke nirdeshak professor anantmurti ke anusar, iss shodh ka vichar guruo, sadhuyo aur priyjano dwara gale lagane ka chalan ko dekh kar aaya.
Addhyan mai yeh bhi nikal kar aaya ki meljol ka yah tarika sabhi desho aur dharmo mai hai. Riti-riwajo aur sneh jatane ke kitne hi tarike kyo na ho lekin gale lagna, baho mai bharna aur chati ya hriday se lagane ka riwaj sabhi dharmo aur sabhytao mai saman hai.
Aalingan kisi bhi rishte ko madhur aur jinda banaye rakhne mai madad karta hai. Bahar ke desho mai hugging dayki pratha bhi hai. Iss din log apne sahyogio, mitro aur pariwarjano se gale milkar khushi jahir karte hai.
Aaj apne jane Health Benefits of Hugging in Hindi yeh ek aisa samanya tarika hai jiske jariye aap apne rishte aur swasthya dono ko aur bhi majboot kar sakte hai.