Shadi ke pehle hum sabhi kewal hone wali dulhano ki khubsurti ko nikharne ki baate karte hai. Lekin jiss tarah se jamana badal raha hai, uss hisab se dulha aur dulhan, dono ko hi shadi ke din sabse best dikhna chahiye. To aaiye jante hai Groom Skin Care Tips in Hindi.
Hum aaj ka article unn ladko ke liye likh rahe hai jo kuch hi dino mai shadi karne wale hai aur wah apni twacha ko chamakdar banane ke liye kya kar sakte hai.
Agar aap bhi unme se ek hai, to apni twacha ki care karna aapke liye sabse aham hona chahiye. Aksar dekha gaya hai ki hone wale dulhe apni twacha par utna dhyan nahi de pate hai jitna ki unhe dena chhiye. Shadi me yaar-dosto ke bich sabse best dikhne ke liye twacha ki dekhbhal karni badi hi jaruri hai.
Groom Skin Care Tips in Hindi: Upay Jinki Madad se Aap Handsome Dikh Sakte Hai
-
Apni Twacha Saaf Rakhe:-
Har roz nahaniye aur apne chehre ko saaf rakhiye. Gandagi aur tel chehre ke pores ko block kar dete hai.
-
Hydrate Rahiye:-
Inn dino aapko pani ki kami ki wajah se hydration ho jata hai isliye roz subah uthate hi pani lijiye. Pani pine se sharir ki sari gandgi bahar nikalti hai.
-
-
Acche se Shave Kare:-
Shaving ke baad humesha cream lagana chahiye jisse twacha mai name bani rehti hai. Iske alawa after shave lagane se bhi skin tone nikhar jata hai.
-
Facial Karwaye:-
Iss din sundar aur handsome dikhne ke liye aapko facial jarur karwana chahiye. Isse aapke chehre par nayi chamak aati hai aur aap Attractive dikhte hai.
Groom Skin Care Tips in Hindi: Shadi ke Din ko Khaas Banaye
-
-
-
Apni Skin ko Pahchaniye:-
Kya aapka chehra oily, muhaso se bhara ya phir rukha hai? Ya phir aapki twacha normal hai? Agar aap nahi jante ki aapki twacha kesi hai to, aap twacga visheshagya ki ray le sakte hai. Ya phir ek tissue paper se khud bhi pata laga sakte hai. Subah uthate hi apne chehre ko tissue paper se poche. Agar tissue paper chehre ka tel sokh leta hai to aapki oily skin hai aur agar wah sukha hi hai to aapki skin dry hi hai. Aur agar tissue paper kewal T-zone par oily hota hai to aapki skin mili juli hai.
-
Rozana Kare Twacha ki Dekhbhal:-
Cleaning, tanning aur moisturizing rozana karna chahiye. Agar aapki twacha oily hai to aapko rozana astringent lagana chahiye jisse aapke bade skin pores band ho jaye. Jinki skin rukhi hai unhe rozana moisturizer lagana chahiye. Agar aap bahut jyada dhup mai rehte hai to aapko ek acchi high SPF sun screen lagani chahiye.
You may also like:- Fashion Tips for Men: Purusho ke Attractive Dikhne ke Tarike
-
Accha Khaiye:-
Jyada bahar ka tala bhuna khane se pet ki samasya ho sakti hai. Acchi twacha ke liye aapko hari pattedar sabjiya, jaitun tel, gajar aur green tea ka sevan karna chahiye. Isse aapko kafi accha result mil sakta hai.
-
Neend Puri Kare:-
Hone wale dulhe ko apni neend puri karni chahiye jisse uski aankhe thaki huyi aur bhari si na dikhe. Rozana 8 ghante ki neend jarur leni chahiye. Isse twacha par chamak aati hai.
-
Thoda Spa Karwaye:-
Spa ka thoda kharch karna to banta hai hi, iske liye aapko 2 baar sochne ki jarurat nahi hai. Spa mai aap facial aur massage karwa sakte hai, jisse aapki skin pehle se jyada glow karegi aur aapki thakan bhi dur hogi.
-
Sabun Accha Use Kare:-
Agar aapki skin dry hai to aap dehydrate soap use kar sakte hai. Agar aapki skin oily hai to aapko ek carbolic soap chunana chahiye. Iske alawa agar aapki skin normal hao to, aapko mild soap chunana chahiye.
Agar aap iss season shadi kar rahe hai to apaniye Groom Skin Care Tips in Hindi aur nikhariye aapke chehre ki khubsurti. Taki aap iss din sabse acche dikh sake aur apne chehre ko nikhar sake.
Get more about Groom Tips from Beauty Tips in Hindi.
-