Chehre ki sundarta ko nikharne ke liye mahilaye bahut se tarike apnati hai jaise kai prakar ki creams aur face pack ko lagana aadi. Bahut si mahilaye aesi hoti hai jinki twacha bahut hi najuk hoti hai aur unpar bahar milne wale face pack suit nahi karte hai.
Aese logo ke liye ghar par banaye gaye face pack sahi hote hai. Homemade face pack mai kisi bhi prakar ka chemical nahi mila hota hai jisse ise kisi bhi prakar ki twacha mai lagane se koi nuksan aur dushprabhav nahi padta hai. To aaiye padhe aese hi kuch Homemade Face Packs in Hindi aur apne chehre ko nikhare.
Ghar par banaye gaye face pack twacha ko nami pradan karne, komal aur chamakdar banane mai madad karte hai. Iske sath hi yeh face packs twacha ko swasth banane mai kai prakar se sahayak hote hai.
Ghar par bane face pack ko taje phal jaise kela, cucumber, nimbu aadi aur phulo jaise kesar aadi ke ras ka prayog karke banaya jata hai. Iss wajeh se ise banane mai jyada paise kharch nahi hote hai sath hi iske prayog se twacha ke kharab hone ka dar bhi nahi rehta hai.
Muhase aur pimple, chehre ki sundarta ko kam kar dete hai. Pimple ka ek chhota sa bhi daag hamari chehre ki sundarta ko bigad kar rakh deta hai. To aaiye yaha padhe Natural face mask for Acne aur keel-muhaso ke daago ko dur kare.
Nimbu Se Bana Face Mask
Nimbu mai vitamin C hota hai jo ki twacha ke chhidro mai gehrai tak jakar use saaf karta hai aur use chamakdar banata hai. Iske alava isme upasthit critic acid aur anti-oxidant gun twacha mai rakt sanchran ko badhava dene mai madad karte hai. Iske face pack ko kai prakar se banaya jata hai.
Muhase aur pimple, chehre ki sundarta ko kam kar dete hai. Pimple ka ek chhota sa bhi daag hamari chehre ki sundarta ko bigad kar rakh deta hai. To aaiye yaha padhe Natural face mask for Acne aur keel-muhaso ke daago ko dur kare.
Nimbu Se Bana Face Mask
Nimbu mai vitamin C hota hai jo ki twacha ke chhidro mai gehrai tak jakar use saaf karta hai aur use chamakdar banata hai. Iske alava isme upasthit critic acid aur anti-oxidant gun twacha mai rakt sanchran ko badhava dene mai madad karte hai. Iske face pack ko kai prakar se banaya jata hai.
- Ek katori mai aadha cup dahi le aur usme 1 taje nimbu ka ras nichode. Fir ise acchi tarah se mila le ab ise acchi tarah apne gardan aur chehre par 10 se 15 minute tak ke liye lagaye.
- Nimbu ke 1 chammach taje ras mai ek chammach shahad ko milakar acchi tarah mila le. Ab ise 10 minute ke liye apne chehre par lagaye. Isse chehre ka murjhapan aur muhase dur ho jate hai.
- Nimbu ke 1 se 2 chammach ras mai tamatar ke 3 se 4 chammach ras aur isme 3 se 4 chammach oatmeal ka tel lekar acchi tarah se milaye. Fir ise chehre par 10 minute tak lagakar thande pani se dho le. Yeh chehre ke daag-dhabbe ko thik karne mai madad karta hai.
- Do chammach multani mitti aur 1 chammch nimbu ka ras le aur acche se milaye. Ab ise 10 se 15 minute ke liye apne chehre par lagaye fir gungune pani se dho le. Yeh teliya twacha ke liye accha hota hai.
Kele Se Bana Face Mask
Kela chehre mai glow lane aur jhurriya khatam karne mai madad karta hai. Face mask ke liye ise nimn tarike se upyog mai laya jata hai.
- Aadhe kele ko piskar usme 1 chammach shahad milaye. Fir iss mishran ko 15 minute tak ke liye apne chehre aur gardan par lagaye.
- Aadhe kele mai 1 chammach dudh ko acchi tarah se milaye fir ise apne chehre par 15 minute tak ke liye lagaye. Isse chehra glow karta hai aur twacha komal banti hai.
- Iske alava kele mai oats ya fir kisi bhi prakar ke tel ko milaye aur iss mishran ko 10 se 15 minute ke liye chehre par lagaye. Aesa karne se blackhead aur dead skin hat jayegi.
Shahad Se Bana Face Pack
Shahad chehre ke muhaso aur acne ko thik karne mai aushadhi ki tarah kam karta hai. Iske face pack ko nimn tarah se banaya jata hai.
- Avocado mai kai prakar ke vitamins aur minerals hote hai. Iss wajeh se iska face mask daag-dhabbe aur acne ko dur karne mai madad karta hai. Ise piskar shahad ke sath milaye aur chehre par lagaye.
- Shahad aur aloe-vera ko milakar apne chehre par lagane se pimple dur hote hai aur khubsoorati bani rehti hai.
- Shahad ke sath shakkar ko acchi tarah se milaye. Ise apne chehre par lagane se twacha ke band chhidra khulte hai aur twacha saaf ho jati hai.
- Shahad aur oatmeal ko milakar lagane sé acne dur hote hai sath hi acne ke daag-dhabbo se chutkara milta hai.
- Shahad aur strawberry ko milakar bana face pack chehre ke rom chhidra ko kholta hai aur bacteria ko nikalne mai madad karta hai.
Kaddu Se Bana Face Mask
Kaddu mai vitamin C, A aur zinc ki acchi matra hoti hai. Iska prayog karne se chehre ke pores ka aakar kam ho jata hai aur bahar ke sabhi mukt kano se chehre ki raksha karta hai.
Iska face pack banane ke liye 3 chammach pise huye kaddu ko ke sath ½ chammch shahad aur ½ chammach dudh ko acchi tarah se milaye aur ise chehre par lagaye. Fir ise tab tak lagaye jab tak chehra thoda sukh na jaye. Uske bad gungune pani se dho le.
Kheere Se Bana Face Mask
Khire mai upasthit Lutein, vitamin A, C, E, potassium aur zea-xanthin ki matra twacha ko kai prakar ke hanikarak tatvo se bachane mai madad karti hai.
- ½ cup khire ke gude mai 1 chammach haldi aur 1 nimbu ke ras ko milaye aur chehre par 15 minute tak lagaye. Yeh teliya twacha ke liye faydemand hai.
- Dahi ko khire ke gude ke sath milakar 15 minute tak lagaye fir halke gungune pani se chehre ko dho le.
- 1 chammach khire ke ras ko multani mitti ke sath milakar chehre par 15 minute ke liye lagaye. Yeh keel aur muhaso ke liye faydemand hota hai.
- Khire ke sath oatmeal ko milakar chehre par 15 minute ke liye lagaye. Fir gungune pani se chehra dho le. Yeh shushk twacha ke liye faydemand hai.
Upar aapne padha Homemade Face Pack in Hindi . Yadi aap bhi apne chehre par prakartik chamak lana chahte hai to diye gaye face pack ko apnaye aur dikhe sundar.