Aajkal log apne kamkaj ki jindagi mai itna vyast ho gaye hai ki unhe apne parivar walo aur dosto ke sath chain se baithne aur hansane ka bhi samay nahi hai. Inhi sabhi ke chalte aajkal tanav badh raha hai aur bahut si bimariya janm le rahi hai.
Swasth rehne ke liye log kya kya nahi karte acche aaharo ka sevan, exercise aadi. Lekin kya aap jante hai ki yadi aap khus rahenge to aapka dimag tanav mukt rahega aur aap bahut si bimaryo se dur rahenge. Aur ek chhoti si muskurahat bhi hamare jeevan ko khushhal banane ke liye kafi hoti hai. Hasne se hame khusi to milti hi hai sath hi hamara swabhav bhi sakaratmak hota jata hai.
Muskurane se hamare chehre ke muscles aur twacha active rehte hai jisse khun ka sanchran sahi se ho pata hai jo ki sharir ko healthy rakhne mai madad karta hai. Iske alava muskurane se log swasth aur tanav mukt reh sakte hai sath hi hamari tacha javan bhi dikhayi deti hai. Muskurane ke aur bhi fayde janne ke liye aaiye padhe Benefits of Smiling in Hindi aur banaye apne jeevan ko swasth aur khushhal.
Benefits of Smiling in Hindi: Hasne Se Milte Hai Aneko Laabh
[ad id=’5598′]
Tanav Kam Karne Mai Sahayak
Aajkal ke jivan mai bahut se log tanav aur paresaniyo se grasit ho gaye hai. Haste rehne se log bahut se rogo aur takleefo ka aasani se samna kar sakte hai. Muskurakarse tanav ko aasani se dur kiya ja sakta hai. Hansane se hamare sharir mai mojud endorphins namak chemical banta hai jo ki tanav aur chintao ko dur karne mai sahayak hota hai.
Yeh endorphins chemical vyayam aur running karte samay bhi nikalta hai jisse chehre ki sahi tarah se exercise hoti rehti hai aur dimag bhi sahi tarah se kam karne lagta hai.
Hriday Gati Ko Banaye Rakhe
Hasna na keval hamare hriday ko aaram pahuchata hai balki hriday gati ko banaye rakhne mai bhi madad karta hai. Muskurane se sharir ke raktchap ko niyantrit rakhne mai madad milti hai. Sath hi we log jo hamesha muskurate rehte hai unme dil se sambandhit pareshaniya hone ka khatra bahut kam hota hai.
Rog Pratirodhak Kshamta Ko Badhaye
Health Benefits of Smiling anginat hai. Muskurane se hamare sharir ki rog pratirodhak kshamta badhti hai. Aapne hamesha dekha hoga jab bhi baccho ko kisi prakar ki chot lagti hai ya fir injection diya jata hai to unke parents unhe hamesha hasane rakhne ki koshis karte hai jisse unhe dard ka ehsaas na ho sake.
Smiling sharir ki safed rakt koshikao ke banne mai madad karti hai sath hi bukhar ko bhi jald se sahi karne mai sahayak hoti hai. Iss tarah muskurahat sharir ki rog pratirodhak kshamta ko badhane mai sahayak hoti hai. Muskurane se vyakti ko kisi bhi dard ka anubhav nahi hota hai aur log haskar sabhi pareshaniyo ka samna kar sakte hai.
Vishvasniya Banaye
Vishvas ek acche relation aur samajik jivan ka mahatwapurna hissa hota hai. Kisi se bat karte samay, interview ke samay ya fir kisi bhi business ki dealing karte samay aapki ek smiling aapko vishwasniya banana mai madad karti hai. Shodho se pata chala hai ki vishavas aur hasi hi ek thos relation ko banaye rakhta hai. Isliye apne jivan mai hamesha muskurate aur khush rahe.
Smiling na keval aapko interview mai select hone mai madad karta hai balki ek muskurahat se acche aur naye dost bhi bante hai. Muskurane se vyakti active aur energetic dikhayi deta hai jisse samne wala bahut khush hota hai, yeh confidence ko darshata hai.
[ad id=’5598′]
Chehre Ki Khubsoorati Badhaye
Chehre ko chamak aur khubsoorati ko banaye rakhne mai smiling bahut madadgar hota hai. Muskurane se chehre ki twacha ki acchi kasrat hoti rehti hai aur khun ka sanchran sahi tarah se hota rehta hai. Iisse fode funsi ka kalapan aur ghav aasani se bhar jate hai aur chehre mai chamak bhi aati hai.
Yaha Padhe aur Bhi Benefits of Smiling aur Rahe Swasth
- Jab bhi aap kisi buri parishthiti se gujar rahe hai aese mai ek muskurahat aapko apki pehle wali sthiti mai lane mai sahayak hoti hai.
- Smiling sharir ke hormones ko balance karne mai madad karta hai.
- Apni bhavnao ko vyakt karne ka sabse sahi tarika muskurahat hoti hai. Isse ham apni bato ko samne rakh sakte hai.
- Jaya hansane se dil ki dhadkane samanya rehti hai jo ki vyaktiyo ki umra ko kaiban 6 saal badhne mai madad karti hai.
- Yeh saharir ki atirikt calorie ko kam karne mai madad karta hai jisse sharir ka vajan aur motapa kam hone lagta hai.
- Hasne se sar ke chari taraf ki maspeshiya sahi rehti hai jisse sar kisi bhi kam ko karne ke liye active rehta hai. Iske sath hi muskurane se yaddasht shakti bhi badhti hai.
- Hasne se sharir ke sabhi ango mai oxygen ka sanchran sucharu rup se ho pata hai . Sath hi sharir ke fefade, muscles aur cells sahi se kam karna chalu kar dete hai.
- Hasne se sharir mai oxygen ka sahi tarah se pravah aur safed rakt koshikao ka nirman hota hai jisse ki sharir ka hemoglobin badhne mai madad milti hai.
Yadi aap bhi kamkaj ke chakkar mai muskurana bhul gaye hai to yaha padhiye Benefits of Smiling in Hindi aur diye gaye laabho ko jankar jara yeh sochiye ki ek muskurahat aapke jeevan ko khushhal bana sakti hai. Isliye hamesha muskuraiye aur swasth rahe.