Home Health and Beauty Giloy Benefits in Hindi: Dil aur Twacha ke Rogo Mai Faydemand

Giloy Benefits in Hindi: Dil aur Twacha ke Rogo Mai Faydemand

by anu

Giloy ek prakar ka paudha hai jiski bel aur lato mai kai prakar ke aushdhiya gun hote hai. Iske inhi guno ke karan hi ise amrit bel ke naam se bhi jana jata hai. Giloy ki bel anguthe ki motai ke saman hote hai, iske patte choude, hare rang ke aur paan ki tarah hote hai. Aayurved ke jagat mai ise bukhar ke liye labhprad aushdhi bhi kaha jata hai.

Isme aesi khasiyat hai ki giloy ki bel jiss bhi ped mai chadhti hai uss pedh ke gun ko avshoshit kar leti hai. Isi wajeh se yeh ek acchi aushdhi hoti hai. Aamle, neem, jamun aur aam ke pedh mai chadhi giloy ki bel adhik gunkari aur labhdayak hoti hai. Giloy ko apne ghar par galme mai lagakar baandh sakte hai aur iske bad iske ras ka prayog kiya ja sakta hai.

Giloy ko dawa ke rup mai bhi jana jata hai. Yeh hamare sharir ko kai prakar ki bimariyo aur rogo se nijad dilane mai madad karti hai. Giloy ke upyog ke liye bajar mai iski goliya, powder, syrup aadi milta hai. Jisse iska prayog aap aasani se kar sakte hai.

Giloy hamare sharir ko gale ke sankraman, madhumeh, kidney ki pareshaniyo, nimn raktchap, maleria, liver aur twacha sambandhi bahut si pareshaniyo ko dur karta hai. Iske faydo ke bare mai vistar se janne ke liye padhe Giloy Benefits in Hindi.

Cough aur Pitta Ko Dur Kare

Hamare sharir ke sanchalan mai cough, vaat aur pitt ka bhi yogdan hota hai. Lekin jab inka santulan bigad jata hai to pilia, pet se sambandhit bahut si pareshaniya janm le leti hai. Cough ka santulan bigadne se sine mai jalan, bukhar aadi pareshaniya hone lagti hai.  Vaat ke asantulit hone par pet mai gas, jodo mai dard, sharir mai kamjori aur budhapa jaisi pareshaniya hone lagti hai.

Aese mai giloy ki pattiya bahut faydemand hoti hai. Iske upyog ke liye giloy ke 5 gram churna ko ghee ke sath milaye aur kha le. Yadi aap pitta ki bimari se pareshan hai to giloy ke 4 gram churn mai chini ya gud ke sath kha le. Aesa karne se aapko jald hi inn sabhi pareshaniye mai aarma mil jayega.

Hriday aur Dil ke Liye Faydemand

Giloy ek aesa rasayna hai jo ki raktshodhak, hriday rog nashak aur ek accha liver tonic bhi hai. Yeh hamare dil ki dhadkano ko samanya rakhtahai  jisse tej ghabrahat paida nahi hoti hai aur heart attack ka khatra kam ho jata hai.

Cholesterol Level Ko Niyantrit Kare

Giloy hamare sharir ke blood cholesterol ke star ko kam karne mai madad karta hai. Isme anti-oxidant ka gun bhi hota hai. Iske sevan se bad cholesterol ka oxidation nahi ho pata jisse sharir mai bad cholesterol ki matra nahi badhti hai.

Cancer Se Rahat De

Sharir ke liye bahut se health benefits of giloy hai. Cancer se jujh rahe rogiyo ke liye giloy ka ras bahut hi faydemand hota hai. Rakt cancer ko dur karne ke liye giloy ka ras aur genhu ke javare ka ras le aur usme thoda pani mila le. Ise khali pet 1 cup rojana sevan karna chahiye. Khali pet iska sevan karne se rakt cancer mai fayda milta hai.

Iske alava giloy aur genhu ke javare ka ras tulsi aur neem ke 5 se 7 patto ke sath piskar sevan karne se kisi bhi prakar ke cancer mai aaram milta hai.

TB Rog Ke Ilaj Ke Liye

Bahut se log bahut adhik khansi aane se pareshan rehte hai aur iske ilaj ko andekha kar dete hai. Shayad aap jante honge ki lagatar 3 hafto se jyada dino tak khansi aana TB rog ka lakshan ho sakta hai. Aese mai Giloy ka sevan karne se TB rog se rahat milti hai. Iske upyog ke liye Giloy ke satv ko ilaychi aur vanshlochan ko shahad ke sath lene se labh hota hai.

You may also like:- Benefits of Coconut in Hindi: Janiye Nariyal Ke Behtarin Fayde

 

Piliya Rog Mai Faydemand

Piliya rog se pareshan marijo ke liye giloy ek asardarak aushdhi ka kam karti hai. Iske bel ko gale mai lapetne se piliya rog mai laabh milta hai. Iske alava giloy ke kadhe mai shahad ko milakar 3 se 4 bar pine se piliya rog thik ho jata hai.

Giloy ke patto ko piskar usme 1 glass chhach ko milakar subah-sham pine se piliya rog mai aaram milta hai.

Kaan Ka Dard Dur Kare

Kaan ke andar ki sahi se safai na ho ya fir kaan ke kisi bhi prakar ke dard ko dur karne mai giloy madadgari hota hai. Iske upyog ke liye giloy ko pani mai ghiskar aur gunguna karke dono kano mai din mai 2 bar dalne se kaan ka mel saaf ho jata hai. Iske sath hi giloy ke patto ke ras ko gunguna karke iss ras ke sath milaye aur kaan mai dale isse kan ka dard sahi ho jata hai.

Twacha Ke Liye Faydemand

Twacha ke liye bhi giloy bahut hi faydemand hota hai. Yeh twacha sambandhit rog jaise psoriasis, charm rog, jhaiya aur jhurriya aadi ko dur karne mai sahayak jota hai.

Fati twacha ke liye giloy ke tel mai dudh ko milaye aur ise ubal le. Fir ise thanda karke fati hui twacha par lagaye. Aesa karne se vaatrakt dosh dur hokar twacha komal aur saaf ho jati hai.

Iske alava chehre ke daag, fode-funsi aur jhaiyo par giloy ko piskar lagaye isse aapko fode funsi aur unke daag aur dhabbe dur ho jayenge.

Madhumeh Mai Faydemand

Giloy mai carbohydrate aur lien namak protein ki acchi matra hoti hai jo ki madhumeh rogiyo ko healthy banane mai madad karta hai. Iske lava isme upasthit Lucien namak acid sharir ke rakt mai insulin ke level ko niyantrit karne mai madad karta hai. Sath hi rakt ke sharkara level ko bhi badhne se rokta hai. Iss tarah yeh diabetes rogiyo ke liye faydemand hota hai.

Pet Dard aur Bavasir Ke Liye

Pet dard se rahat pane ke liye giloy ke ras mai shahad ko milay aur ise rojana subah aur sham piye. Isse pet dard thik ho jata hai. Iske lava 1 mutthi giloy ke churn ko subah sham pani ke sath khane se bavasir mai labh milta hai.

Badhti Umra Ko Roke

Kuch log kam umra ke hone ke bad bhi adhik umra ke dikhayi dene lagte hai. Aese mai giloy ka sevan labhkari hota hai. Iske upyog ke liye giloy ke ras mai genhu ke javare ke ras, tulsi ke 7 patte aur neem ke patto ko milakar khana chahiye.

Malaria Ko Dur Kare

Giloy mai bukhar ko jald thik karne ka adbhud gun hota hai. Yeh sharir ki sabhi metabolic kriyao ko vyavasthit karta hai. Iske prayog ke liye giloy ke churn ko kisi bhi anti material aushdhi ke sath khana chahiye.

Giloy Benefits in Hindi: Iske Anya Laabh Inhe Bhi Padhe

  1. Giloy ka prayog karne se vyakti typhoid, dengu, bukhar, ulti, allergy aur kushth rogo aadi kai prakar bimariyo se bach sakta hai.
  2. Rojana subah aur sham giloy ke ras ko ghee aur shahad ya mishri ke sath milakar pine se sharir mai khun ki kami dur hoti hai. Sath hi anemia jaise rogo mai aaram milta hai.
  3. Pet ki gas ko dur karne ke liye giloy ke ek chammach churn ko ghee ke sath lene se aaram milta hai. Aesa karne se jodo ka dard aur sharir ka tutna aadi mai bhi aaram milta hai.
  4. Baanjhpan ko dur karne ke liye giloy aur ashvagandha ko dudh mai pakaye aur rojan iska sevan kare. Aesa karne se baanjhpan se mukti milti hai.
  5. Kuch logo ko mirgi bhi aati hai. Aese mai giloy aur punarnava ka kadha banakar pina chahiye. Aesa karne se kuch dino ke andar hi mirgi rog mai fayda najar aayega.
  6. Giloy ke istemal se sharir ko saans sambandhi rog jaise dama aur khansi mai bhi bahut fayda milta hai.
  7. Giloy ko neem aur aamla ke sath milakar khane se twacha sambandhi kai prakar ki pareshaniya jaise eczema aur psoriasis ko bhi dur kiya ja sakta hai.
  8. Giloy ki pattiyo mai calcium, protein, phosphorous aur tane mai starch hota hai. Iske alava isme antibiotic gun bhi hote hai jisse yeh sharir ko kisi bhi prakar ke sankraman se ladne ki shakti deta hai.

Upar aapne jana Giloy Benefits in Hindi. Yadi aap bhi upar dee gayi pareshaniyo se pareshan hai to giloy ka sevan karna shuru kare aur rahe swasth.

Related Articles

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept