Moisturizing

Face Care Tips in Hindi for Men bhi jaruri hai. Twacha ki sahi tarah se dekhbhal ke liye moisturizing bahut hi jaruri hota hai. Aesa karne se twacha ko aur bhi sundar aur tarotaja banaya ja sakta hai. Purusho ko aese moisturizer ka upyog karna chahiye jo unki twacha par asardarak ho.

Moisturizer karne se twacha mai gorapan aata hai sath hi yeh twacha ko suraj ki kirno se bhi bachane ka kam karta hai. Yadi aapki twacha teliya yukt hai to oil free moisturizer ka upyog karna chahiye.

Skin Care

Purusho ko apne chehre aur sharir ki sundarta ke liye acche products ka istemaal karna chahiye. Yeh acche products sharir aur chehre ko surya ki kirno aur anya prakar se kharab hone se bachane ka kam karte hai.

Iske sath-sath aankho ki sundarta bhi purusho ke beauty tips mai aati hai. Kya aap jante hai ki apne chehre ke look ke ansusar goggle ka upyog karne se chehre aur aankh dono ki sundarta badh jati hai? Isliye aajkal purush khubsoorat dikhane ke liye fashionable chashme ka upyog bhi karte hai.

Danto Ki Dekhbhal

Ek chhoti si smile kisi bhi vyakti ke look aur smartness ko present karne ke liye kaafi hoti hai. Isliye apne chehre ki sundarta ke sath-sath apni smile ko acchi banane ke liye healthy aur chamakdar(safed) danto ki jarurat hoti hai. Iske liye rojana subah aur sham daanto ki acchi tarah se safai karna chahiye jisse dant bacteria se bach sake aur sundar dikh sake.

Balo Ki Dekhbhal

Beauty Tips for Hair ki baat kare to mahilao ki sundarta mai balo ka jitna mahatv hota hai utna hi balo ka mahatv purusho ki sundarta mai bhi hota hai. Purusho ke bal jitney ghane hote hai utne hi acche hote hai aur yeh ghane bal purusho ki sundarta bhi badhate hai.

Isliiye balo ki sahi tarah se dekhbhal ke liye acche shampoo aur conditions ka upyog karna chahiye.

Pani (Water)

Pani chehre aur twacha mai nami banaye rakhne ke sath-sath twacha ko komal aur chamakdar banane ka kam bhi karta hai. Isliye hamesha chikitsak rojana 8 se jyada pani pine ki salaah dete hai.

Kapde(Clothes)

Acche look aur personality ke liye sharir aur chehre ki sundarta ke sath-sath kapde bhi mahatwpurna bhumika nibhate hai. Isliye jab bhi kisi outing ke liye jaye to apne casual kapdo ko sahi tarah clean air press karke hi jaye.

Yadi aap bhi apne look aur personality ko accha dikhana chahte hai to yaha padhiye Beauty Tips for Men in Hindiaur dikhiye sundar.