Sundar dikhana mahilao ki khawaish hoti hai. Isliye har mahila chahti hai ke wo sundar dikhe aur log uski taraf aakarshit ho. Sundar dikhne me akho ka bahut yogdaan hai par agar apki akho ke niche kale ghere ho to wo apki sundarta ko fika kar dete hai. kale ghere ki samasya ajkal ke waqut me aam bat ho chuki hai. kale ghero ko dur karne ke liye market me aneko products milte hai par unke side effect bhi hote hai isse acha ke hum gharelu upchaar le jisse koi side effect nhi hota.
[ad id=’5598′]
Ek chamach tamatar ka ras, adha chamach nimbu ka ras, ek chutki haldi ka barik churan, thoda sa besand mila kar lep bana lo. Akho ke kale ghero par lagaye 10mint tak laga rehne de. sukhne se pehledhire dhire malne ke baad sadharan pani se saaf kar le. Kuch din tak rojana ek var upyog karo. Akho ke kale ghere hatane ka parbhavshali upyog hai.
Humesha loha or calcium ki kami ke kaaran akho ke kale ghere aa jate hai.
[ad id=’5598′]
(1) laal pakke tamatar me vitamin ‘A’, ‘C’ or lohe ki matrajayda hoti hai.Isliye tamatar ka upyog laabhdayak hai.
(2) Rojana ek glass gajar ka ras pina ya kachhi gajar khae se bhi kale ghere di samsya thik ho jati hai.
[ad id=’5598′]
(3) Tamatar ke ras me nimbu ka ras mila lo or chehre par mal le. Sukhne ke baad simple pani se dho le. Din me do bar iska upyog kare.
Badam Ke Tel Se Malish Kare
Badam mai bharpur matra mai Vitamin E paya jata hai. Yeh aankho ke niche ki najuk twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai. Badam ke tel ka labh pane ke liye isko halke haatho se apni aankho ke niche laga le. Fir halke haatho se hi malish kare. Rat bhar ise laga rehne de aur subah thande pani se dho le. Aesa tab tak karna chahiye jab tak kale ghere poori tarah se thik nahi ho jate hai.
[ad id=’5598′]
Pudina Se De Aankho Ko Thandak
Shayad aap nahi jante ho lekin pudina bhi kale ghere ko door karne ki sabse acchi aushdhi mani jati hai. Yeh thandi prakrati ka hota hai isliye isse aankho ko thandak pahuchti hai. Ise lagane ke liye pehle ise acchi tarah se pees le fir isme nimbu ka ras mila de. Iss mishran ko aankho ke niche 10 se 15 minute tak laga rehane de. Fir pani se dho le. Iss lap ko 2-3 hafte tak lagane par aapko khud hi farak dikhne lagega.
Nimbu Sabse Faydemand
[ad id=’5598′]
- Nimbu ka ras dark circle ko kam karne ke sath sath twacha ki rangat nikharne mai bhi madad karta hai. Aankho ke niche ke kale ghere door karne ke liye nimbu ko aap kai prakar se upyog kar sakte hai.
- Nimbu ke ras mai kakadi ke ras milaiye, Fir ise 10 se 15 minute tak lagakar rakhe aur thande pani se dho le. Aesa 7 se 10 dino tak karne se kale ghere khatam ho jate hai. Kakdi hamare aankho ko thandak dekar rahat pahuchati hai aur nimbu twacha ka kalapan dur karta hai.
- Agar aapke paas kakdi naa bhi ho to aap direct nimbu ke ras ko bhi rui ke sahayata se laga sakte hai. Bus 10 minute ise kale ghero par lagakar rakhe fir pani se dho le.
Tamatar
Tamatar ka ras lagane se bhi aankho ke niche ke kale ghere jald hi door ho jate hai. Iske liye tamatar ke 1 chammach ras mai ½ chammach nimbu ka ras milaye. Iss ras ko kale ghere ki jagah laga le. Din mai do bar aesa karne se 2 saftah mai Dark Circles katam ho jayenge.
Aalu
Aalu kale ghere ko door karne ke liye prakratik bleech ka kaam karta hai. Aapko bus itna karna hai ki aalu ko patla katkar use apni aankho par 15 minute ke liye rakh de. Ya to fir aalu ko ghiskar uska ras nikal le aur cotton ke kapde se aankho ke niche laga le, aur uss kapde se aankho ko dhak de. Iss prakriya ko 15 minute tak din mai 2 bar karne se dark circle mai jald aaram milta hai.
[ad id=’5598′]
Anya Upaye Inhe Bhi Apnaye
- Apne khan-pan ka sahi tarah se khayal rakhe aur time par bhojan kare.
- Rojana 8 se 10 glass pani pine se bhi Dark Rings se chutkara paya ja sakta hai.
- Santre ka ras aur glycerin ko milakar rojana dark circle par lagane se kale ghere se jaldi nijad milta hai.
- Shahad aur ande ke safed bhag ko milakar kale ghere par rojana lagane se dark circle jald hi chale jate hai.
- Jo vyakti paryapt neend nahi lete hai unme dark circle ki samasya adhik payi jati hai. Iske liye rojana 8 ghante tak ki nind awashya lena chahiye.
- Haldi aur ananas ka ras bhi faydemand hota hai. Iske liye dono ke mishran ko rojana aankho ke niche lagane se kale ghere se chutkara paya ja sakta hai.
- Gulab ka jal kale ghere ko dur karne ke liye upyog kiya jata hai. Yeh aankho ke fresh rakhne ke sath-sath unhe mulayam banane mai bhi kaam aata hai. Ise lagane ke liye iske jal ko cotton ke kapde ke tukde se aankho ke niche rojana lagane se dark circle door ho jate hai.
- Dudh ka istemaal bhi kale ghere se nijad dilane mai faydemand hai. Iske liye dudh ko pehale freez mai rakhkar thanda kar le. Fir ise cotton ki madad se aankho ke niche lagaye. Din mai 2 baar aesa karne se 1 hafte mai hi kale ghere ghere kam hone lagte hai.