Chahre ki tulna hatho ki jayda andekhi ki jati hai. Iss bat ka tab pata chalta hai jab umar se pehle jhuriya nazar aati hai. Hatho ki bhi chehre ki tarha care kare.
Kathor Sabun
Hum din me bahut bar hath saaf krte hai. Isliye jaruri hai sabun kathor na ho. Jabki sabun ka istemaal hum jayada karte hai jo hatho ki tawacha ko kathor or bejaan kar dete hai. Iskeliye hume moisturizer ki jarurat padti hai. Isliye sabun ka upyog kam kre.
[ad id=’5598′]
Moisturizer
Busy life me bahut kam time hota h lekin iska matlab ye nahi ke hum hatho ko ek bar moisturizer lagaya jaye , jitni bar hath dhoye uni bar moisturizer jarur lagaye.
Sunscreen
[ad id=’5598′]
Chehare ki tarha hi hatho ko bhi sunscreen ki jarurat padti hai. jabki ki hum chehre par sunscrren ka use krte hai par hatho par nhi. lekin hatho ko bhi sunscreen ki utni hi jarurat hai jitni chehre ko.
Hand and Sanitizer
Ajkal sabhi hand sanitizer ka istemaal karna pasand krte hai. lekin hand sanitizer skin ko kharab krta hai or bejaan banata hai
Oil
Purane jamne me body par oil ka upyog jayda hota tha lekin ajkal oil ka upyog kam hota ja rha hai. lekin oil ke upyog se skin soft rehti hai kyuki oil skin ko naram banata hai. isliye hume nahane ke baad hath or pairo me oil ka use karna chahiye.
Detergent
Ladies sbji kapdre jarur saaf karti hai jisse unke hatho ki skin ko detergent se hath kathor hone lagte hai lekin sabi ladies apne hatho ki care nhi kar paati. Apko chahiye ki kapdre saaf karte samay hatho me hand gloves ka istemaal kare. Detergent humare hatho ki khubsurti ko kharab krte hai isliye agar aap gloves nhi pehnti to kapdre saaf krne ke baad me moisturizer jarur lagaye.
Manicure
[ad id=’5598′]
Manicure karne se hath soft or saaf hote hai iske saath saath apke hatho or nail ki gandgi bhi dur hoti hai isliye manicure krne se apke hatho ki skin bhi soft rehegi