Purush apne sar ke baal ki grooming par humesha dhyan dete hai, aur lekin wah humesha apne private part ke baalo ko nazarandaaz karte hai. Halaki inhe nazarandaaz karna na sirf atma vishvaas ko kamjor karta hai balki niji swacchta ko bhi prabhavit karta hai.
Halaki mahilaye iss mamle mai jyada sajag rehti aati hai. To chaliye hum aapko batate hai aise kuch karan ki purusho ke liye bhi private parts ki grooming kyu jaruri hai. To aaiye jane iske bare mai puri jankari yaha par.
You may also like:- Grooming Tips For Men- Gentlemen Dikhne Ke Tarike
Purusho ke Private Part ki Safai Karne ke Tarike
Saaf Safai
Yadi private parts ki samay par grooming na ki jaye to badhe huye baalo ke karan garmi, pasine au bacteria unke aas-paas ikkatha ho jate hai. Iss bhag ki timming ya shave karne se kisi bhi avanchit sankraman se bachav hota hai aur swacchata banaye rakhne mai bhi madad milti hai.
Jannang Bade Dikhte Hai
Jannango ke baalo ki safai na karne par yeh aapke atmavishvaas ko prabhavit karte hai, kyuki inke bade hone par aapka jannang chhota nazar aata hai. Isliye iss jagah ke baalo ki safai jaruri hai.
Swasth Nazar Aata Hai
Private area ko groom karne se wah saaf aur swasth nazar aata hai. Iss area ki safai yeh sunischit karti hai ki aapko kisi prakar ka sankraman ya bimari nahi hai aur isse aapka private area bhi swasth rehta hai. Iske viprit private area ko groom karne se aap dekh pate hai ki iss jagah koi rashesh ya infection to nahi ho raha hai.
Adhik Akarshak
Jannang ke area ki safai karne se yeh adhik akarshak nazar aata hai. Isse aapke partner ko bhi samasya nahi hoti hai aur aapka partner aapke saath pyar ke palo mai asahaj nahi hota hai.
Jannang ki shaving karne se sanvedanshilta mai vraddhi hoti hai. Jannang ke aas-paas ki twacha chune mai behad sanvedanshil hoti hai. Aur jab iss isthan par safai rehti hai to sparsh ka behtar anubhav hota hai.
Upar aapne jane ki aap kese aapke private part ko groom kar sakte hai aur sundar dikh sakte hai. Yeh aapke liye bahut hi asardar sabit hota hai.