Home Men health Curry Leaves for Hair Growth in Hindi: Balo Ke Liye Faydemand

Curry Leaves for Hair Growth in Hindi: Balo Ke Liye Faydemand

by anu

Kari patta yaani meethi neem ek sugandhit patti hai jiska prayog bhojan ke masalo ke rup mai kiya jata hai. South India mai log ise bahut pasand karte hai. Kari patti ka prayog log daal aur sabji aadi ko banane mai karte hai.

Kai log kari patte ko apne bhojan se bahar nikalkar bahar fek dete hai. Lekin aesa nahi karna chahiye kyunki shayad aapko jante honge Kari patta ka upyog na keval khane ko khushbudar banane mai kiya jata hai balki yeh hamare swasth ke liye bhi bahut faydemand hai. Isliye iska sevan bhi karna chahiye.

Iske sath hi kari patti mai kai prakar ke nutrition’s hote hai jo ki hamare balo ki dekhbhal ke liye jaruri hote hai. Meethi neem mai carbohydrate, iron, calcium, fiber aur kai prakar ke vitamins hote hai jo ki vyaktiyo ke acche swasth ke liye jaruri hote hai.

Kuch logo ke bal kam umra mai hi safed ho jate hai, tutne lagte hai aur unme rusi jaisi samasya hone lagti hai. Isse bachne ke liye kari patti bahut hi faydemand hoti hai. To aaiye aaj padhe Curry Leaves for Hair Growth in Hindi aur banaye apne balo lamba, ghana aur sundar.

Aajkal ki aswasth jivanshelly, balo ke liye upyog kiye jane wale heating upkaran, rasayan aur pradushan ki wajeh se baal bahut hi kharab ho jate hai. Aese mai kari pratti balo ko kale banane ke sath-sath unko ghana aur swasth banane mai madad karti hai. Yeh hamare balo ke liye kis tarah se faydemand hai janne ke liye padhe curry leaves for hair growth.

Balo Ki Jado Ko Majbut Kare

Aajkal ki vyast jivan sheli ke chalte log unhealthy khana jaise fast food, bahar ka khana aadi ka sevan karte hai. Jisse balo ki acchi tarah se dekhbhal nahi ho pati hai. Aese mai kari patto ko piskar banaya gaya paste raat mai apne balo par laga le aur sukhne ke bad dho le. Isse balo ki jade majbut hoti hai aur bal jharne se bhi bachte hai.

Balo Ko girne Se Bachane Ke Liye

Kari Patti mai mojud protein aur beta-carotene balo ko jharne se bachane aur balo ke vikas mai madad karta hai.

Balo Ko Grey Hone Se Bachaye

Dhumrapan, sharab ka sevan, tanav aur genetic problems ki wajeh se balo ka rang bhura ho jata hai. Kari patte balo ke rang ko bhi kala banane  mai madad karte hai. Isme upasthit vitamin B balo ko poshan dene ke sath-sath kam umra mai hi hone wale safed balo ki samasya se bachane mai madad karta hai.

Iske alava kari patti ka upyog balo se rusi ko dur karne mai bhi kiya jata hai. Balo ki dekhbhal ke liye kari patto ko nimn tariko se istemal kar sakte hai. To aaiye jane kari patte ke upyog ki vidhiya.

Kari Patti Ka Tonic Banakar

Ek katori mai taja kari patti le aur usme nariyal tel ko milaye aur dhimi aanch par garm hone ke liye rakh de. Tel ko tab tak garm kare jab tak tel ka rang kala na ho jaye. Iske bad iss tel se apne sar ki malish kare. Malish karne ke 1 ghante bad kisi bhi herbal shampoo se balo ko dho le.

Aesa hafte mai do bar karne se balo ki jade majbut hongi aur baal ghane bhi banenge.

Kari Patti Ka Mask

Kari patto ka mask banakar bhi balo ki dekhbhal ki jati hai. Iske liye kari pattiyo ko lekar inhe barik pees le. Iske bad iss paste mai saman matra mai dahi ko milaye aur baalo ki malish kare. Fir 30 minute ke liye balo ko aesa hi rehne de fir shampoo lagakar balo ko dho le.

Iss mask ka prayog saftah mai ek bar karna chahiye. Yeh balo ke liye bahut hi faydemand hota hai. Yeh balo ko tarotaja kar unhe chikna aur chamakdar banata hai.

Chay Banakar

Kari patti ka prayog masalo ke sath-sath chay banane mai bhi kiya jata hai. Isse bani chay balo se sambandhit kai prakar ki samasyao ko dur karti hai sath hi pachan tantra ko bhi majbut banati hai.]

Iska prayog karne ke liye uablte pani mai kari patti aur sugar ko milaye aur rojana piye. Acche parinam ke liye rojana 1 hafte tak ise jarur piye.

Curry Leaves Ka Upyog Karne Ke Anya Tarike

  1. Aadha cup kari patte ko dahi ke sath pees le aur fir mishran ko apne balo par lagaye. Kuch minutes ke bad balo ko dho le, isse balo ki jade majbut banti hai.
  2. Kari patti ko anya jadibutiya jaise neem aur shikakai ke sath milakar bhi balo par lagaya jata hai.
  3. 200 gram nariyal ke tel ya fir jaitun ke tel mai kari patti ke powder ko mila le aur ise rojana rat mai malish karke rakhe. Isse baal ghane, kale aur majbut bante hai.

Upar aapne jana Curry Leaves for Hair Growth. Yadi aap bhi apne balo ki samasya se pareshan hai to aaj se hi apne dainik jivan mai kari patte ko shamil kare aur balo ko rakhe swasth.

Related Articles

This website uses cookies to improve your experience. We'll assume you're ok with this, but you can opt-out if you wish. Accept